Aankhen ho gayi bojhal
Dil mein zindagi ki uthal puthal
Swaalon ke is jaal mein
Jawaab khud hi behaal hai
Har tapakta aasoon bura nahi
Uski keemat girne mein hai
Woh moti banke barsega
Us zameen ki yeh khushnaseebi hai
Dekho toh har taraf roshni hain
Band aankhen toh andhera hi laye
Apne jahaan ko apni muskaan do
Dukh dene waalon ki kami kahaan hai?
Khushi ke lehron ko daudne do
Gum ke dhue udd jayenge
Khush hone ke naatak mein
Shaayad hum khush ho jayenge
Dil mein zindagi ki uthal puthal
Swaalon ke is jaal mein
Jawaab khud hi behaal hai
Har tapakta aasoon bura nahi
Uski keemat girne mein hai
Woh moti banke barsega
Us zameen ki yeh khushnaseebi hai
Dekho toh har taraf roshni hain
Band aankhen toh andhera hi laye
Apne jahaan ko apni muskaan do
Dukh dene waalon ki kami kahaan hai?
Khushi ke lehron ko daudne do
Gum ke dhue udd jayenge
Khush hone ke naatak mein
Shaayad hum khush ho jayenge
omi ur awesome!!
ReplyDelete